Bootstrap Image Preview
shayaridunia.com

Ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota 

ya mira taaj gadayana banaya hota 

----------------*----------------

apna dīvana banaya mujhe hota tū ne 

kyuu.n ḳhirad-mand banaya na banaya hota 

----------------*----------------

ḳhaksarī ke liye garche banaya tha mujhe 

kaash ḳhak-e-dar-e-janana banaya hota 

----------------*----------------

nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko 

umr ka ta.ng na paimana banaya hota 

----------------*----------------

dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin 

zulf-e-mushkī.n ka tire shana banaya hota 

----------------*----------------

sūfiyo.n ke jo na tha la.eq-e-sohbat to mujhe 

qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota 

----------------*----------------

tha jalana hī agar dūri-e-saqī se mujhe 

to charaġh-e-dar-e-mai-ḳhana banaya hota 

----------------*----------------

shola-e-husn chaman me.n na dikhaya us ne 

varna bulbul ko bhī parvana banaya hota 

----------------*----------------

roz mamūra-e-duniya me.n ḳharabī hai 'zafar' 

aisī bastī ko to vīrana banaya hota 

----------------*----------------

...read more
  • 12-Aug-2017
  • |
  • 0 comments
  • |
  • |
shayaridunia.com | Latest Shayari, Best Romantic Shayari, 2 Line Shayari, New Love Shayari, Top Dard Shayari, Ghazal, SMS, Whatsapp Status and Festival Wishes in English Font, Latest Zindagi Shayari, Deep-Best Life Quotes, Whatsapp Life Status Shayari On Life, Sad Zindagi Shayari, hindi sad shayari on life, Best Life Shayari, ज़िन्दगी शायरी Hindi collection, Top Heart Touching Zindagi Shayari, Sad Life Sms, Hindi Quotes On Life In Hindi Fonts, my life my shayari, Lonely Life Shayari, True Lines About Life, Good Shayari on Jindagi, Sad Shayari on Zindagi, Positive Life Quotes on Smile in Hindi, Best Inspirational Hindi Poems on Life, Short Reality of Life Quotes, Sad True Life Shayari on Dil, Ultimate Shayari of Life, Sad Zindagi Message on Life For Friends, Zindagi Shayari is depend on real life and related with life thoughts,Dard Shayari, दर्द शायरी, Dard Bhari Shayari, Dard Ki Shayari, Painful Shayari, Hindi Dard Shayari,Aankhein Shayari, Alone Shayari, Ashq Shayari, Attitude Shayari, Bewafa Shayari, Birthday Shayari, Bollywood Shayari, Broken Heart Shayari, Dard Bhari Shayari, Desh Bhakti Shayari, Dil Shayari, Dooriyan Shayari, Dua Shayari, Friendship Shayari, Funny Shayari, Gam Bhari Shayari, Good Morning Shayari, Heart Touching Lines, Hindi Shayari, Inspirational Shayari, Insult Shayari, Intezaar Shayari, Judai Shayari, Love Shayari, Maa Shayari, Maut Shayari, Nafrat Shayari, Punjabi Shayari, Romantic Shayari, Sad Shayari, Sharab Shayari, Shayari On Beauty, Shayari On Life, Sorry Shayari, Two Line Shayari, Yaad Shayari